नया blog create कैसे करे। easy way to create blog

Create blog

नया blog create कैसे करे। easy way to create blog

Free Blog Website Kaise Create Kare Step-By-Step

New blog start karna aajkal bahot easy ho gaya hai, blogging platforms ke madad se.

create free blog website

Aap bahot aasani se blog create kar sakte hai free without any investment and baad mai custom domain bhi add kar sakte hai, aapke blog ko professional look dene ke liye.
But, sabse pahele aapko yeh samajh na bahot jaruri hai ki blog hota kya hai.

Blog kya hai and blog kaise kaam karta hai?

Ekk normal blog start karne ke liye aapko 4 cheeze chahiye hongi.

  • Ekk Gmail ID
  • PC or Laptop with Internet connection
  • Any Niche
  • Title of the blog.
  • Agar aap blogging mai succesful hona chahate hai and aapko niche ke baare mai nahi pata, then read.
  • Blogging Niche kya hai and most profitable Niche kaise choose kare


So, abhi below hum janenge ki blog kaise banate karte hai.

New free blog kaise start kare?



1.Apna browser open kare and seach kijiye Blogger, Google pe.
2. First, search results mai click kijiye and blogspot website open kar le.
3. Apna existing Gmail Id se login kare.
4. Abhi, new blog mai click kare.
5. Blog title add kare, URL address availability check kare, and template select karke, create a blog mai click kare.

Quick Tips: 


Ho sakta hai, jo URL aap select karna chahate hai, wo available naa ho. Kyunki, laakho peoples ne already common addresses select kar liya hai. So, at least, 3 to 4 title pahele hi select kar le, jisse baad mai aapka man pasand title and address mil jaye.

Congrats! Aapka new blog create ho gaya hai. Abhi, next aapko posts create and publish karna hoga.

New blog post kaise create kare?


1.Blogger dashboard pe, posts mai click kijiye and fir New post mai click kare.
2. Abhi, blogger post editor open hoga. Yaha pe aap, bahot aasani se post customize kar sakte hai, bold, italic, underline, heading tags, hyperlinks, colors, etc change and add kar sakte hai.
3. Aapka content ko edit karne ke baad, publish button mai click kare post publish karne ke liye, ya fir content ko schedule mai save kare.
Blog posts create karne ke baad, aap ka next task hai, pages create karna.

Blog pages kaise create kare?


1.Blogger dashboard pe, pages mai click kare and fir New page.
2. Abhi, fir se blogger post editor open hoga. Actually, blogger posts and pages create karne ka tarika almost same hai. Bas, in done mai ekk hi difference hai ki posts pe aap custom permalink add kar sakte hai, but pages mai, aisa koyi option available nahi hai.
3. Pages ko customize karne ke baad, publish mai click kare apne page ko live laane ke liye.
Pages add karne ka baad, aapko gadgets or widgets add karna hoga aapke blog mai.

Blogger mai Gadgets kaise add kare


1. Blogger dashboard pe, Layout mai click kare and fir Add a Gadget.
2. Abhi, ekk new popup window open hoga. Is window mai aapko various gadgets mil jayega, niche scroll kare and any gadgets mai click kare, as a example popular posts gadget mai click kijiye.
3. Gadget ko customize kare and fir save mai click kare.
4. Gadgets add karne ke baad, aap easily ise rearrange kar sakte hai, sidebars, header, ya fir footer area.

Blog theme kaise change kare?


1. Aapke dashboard pe, template section mai click kare.
2. Abhi, theme page mai aapko bahot saare classic templates dikhai denge. Agar aapko inme se hi koyi use karna hai toh, koi bhi ek template upar click kare and save button press kare.
3. Agar aap professional themes use karna chahate hai toh, backup button mai press kare.
Quick Tips: Existing template ko hamesha download kar le apna PC mai, jisse baad mai agar aap chahe toh yeh template fir se use kar sakte hai.
4. New theme install karne ke liye , restore mai click kare, XML file template ko select karke upload button press karde and aapke blog ka theme change ho gaya.

Conclusion


Abhi apka blog ban jaane ka baad, aapke blog ko Google search engines mai manually add karna hoga, Google Webmaster tools ke madad se.

So, Up next, hum sikhenge blog ko kaise Google, Bing and Yahoo search engines mai add karte hai, jisse aapka blog Google search results pe appear hona suru hojayega and aapke site pe traffic aana suru ho jayega.

Post a Comment

0 Comments